Kyu zyakar banoo | Shikwa | Allama Iqbal




Kyu zyakar banoo sood-o-framosh rahoo 

fikr-e-farda na kroo mehvy gham-e-dosh rahoo

naaly bulbul k sunoo or hamatan gosh rahoo

ham nava m bhi koi gul hun k khamosh rahoo



jurrat amoz meri tab-e-sukhun mujhko 

shikwa ALLAH se khakim badhan ha mujhko



hai bjaa shewa-e-tasleem main mashhoor hain ham

qissa-e-Dard sunaty hain k majboor hain ham

saaz-e-khamosh hain faryaad se mehroom hain ham

naala ata hai agr lab py to mazoor hain ham 



Ay khuda shikwa-e-arbab-e-wafa bhi sun ly

khoogar-e-Hamd se thora sa silaa bhi sun ly 

Comments

Popular posts from this blog